Best Masala Bharre Karele Recipe (2026 Guide)

ye Masala Bharre Karele meri khala ki special recipe hai jab bhi wo hamaare ghar aati hain to hum special un se ye recipe banwate hain aur isse freeze kar ke rakh dete hain aur jab dil chahta hai isse garam kar ke parathe ke saath khaate hai ye banni hui dish jitni ziada der rakhte hain utna hi zida zaiqa mazeed barh jaata hai jo aik baar khata hai baar baar is ki farmaish karta hai
Masala Bharre karele aik dish hi nahi balke ye hammari family ki aik special recipe hai jo bhi isse khaata hai baar baar is ki farmaish karta hai is ka flavour itna lazeez hota hai khatta meetha ke moon ka zaika dobaala ho jaata hai imli ka istemaal karne se karwahat mehsoos hi nahi hoti lagta hi nahi ke hum karele kha rahe hain

is recipe me imli ka istemal kiya jaata hai jo karele ki karwahat ko khattam karta hai aur phir aisa flavor deta hai jo aap ne kabhi bhi nahi khaya ho ga is ka rich masala is ko aam karelon se alag banata hai Hum isse hamesh ziada mikdaar me banate hain aur isse freeze kar dete hain isse is ka zaiqa taaza khaane se bhi ziada barrh jaata hai

Description Masala Bharre Karele
ye zabardat dish banain 2026 Masala Bharre Karele aik alag imli ke zaiqe ke saath banane ka ye tarika hai Masala Bharre Karele imli ke zaiqe se bharpoor aap ko mazza dain ge karele ki karwahat ke bina karelo ko enjoy karne ka behtreen tarika hai

Best Masala Bharre Karele Recipe (2026 Guide)
Ingredients
Method
- Sab se pehle pyaz cheel kar grind kar lai grind kiye hue pyaz me namak lal mirch Dhania garam masala imli aur besan 4 tbsp aur oil 4 tbsp mix kar dain aur phir saare masale ko pan me daal kar paka lain

- Jab ye masala tayyar ho jaye to usse thanda kar lainIs ke baad karelon ko cheel lain aur phir chilka aur body alag kar lain is ke baad inhain namak laga kar 40 minute kayliye chor dain is ke baad chilke aur karele ko dho lain aur achi tarha nichor lain taake karwahat nikal jaye is ke baad karelon me masala bhar dain aur in karelon ko dhage se baandh dain taake masala bahir na nikle

- Is ke baad aik karhai me hasbe zaroora oil lain aur karele daal kar fry kar lain

- karele fry karne ke baad ussi oil me chilka daal kar fry kar lain phir tamator dal kar baqi bacha hua masala daal kar paka lain akhir me fry kiye hue karele daal kar mix kar dain 10 minute kayliye dhaanp kar rakh dain is se zaiqa barh jaata hai aur phir akhir me garam tandoori roti ke saath serve karain aur Masala Bharre Karele enjoy karain

Pro Tips for the Best Masala Bharre Karele
1. Karele cheel kar namak laga kar aik ghanta chorr dain phir achi tarha dho kar nichor lain karelon ki saari karwahat khattam ho jaye gi
2 . Karele me masala bharne ke baad usse dhage se bandh lain taake fry karte waqt masala bahir na nikle
3 . agar aap chahte hain ke Masala Bharre Karele ziada mazedaar bannain jab kab karele pak jain to 10 minute kay liye dhanp kar rakh dain
Frequently Asked Questions Masala Bharre Karele
1. Karele ki karwahat khatam karne ke liye ye steps follow karein
1. Karele ki karwahat khattam karne kayliye karelon ko cheel kar unka ka chilka aur body alag kar lain dono per achi tarha namak lagain aur aur dho lain aur phir achi tarha nichor lain aur pakene se pehle khush kar lain
2. Is recipe me imli kyun use karte hain
Imli ka gooda karelon ko aik alag maza deta hai imli khtas karele ki qudarti karwahat ko asaani si khattam kar deti hai aur aik chatpatta zaiqa deti hai
3. Kia hum Masala Bharre Karele freeze kar sakte hain
ye recipe freeze karne kayliye bahot zabardast hai aap isse zida mikdaar me bana kar thanda kar ke freeze kar sakte hain balke freeze karne ke baad is ka zaiqa zida ho jaata hai
Besan ki jaggah kia istemall kar sakte hain
Besan aur pyaz ke masale ko bind karne aur zaqe ko barhane me madad karta hai besan se karelon ko aik traditional zaiqa milta hai Agar aap ke paas besan nahi hai, toh aap is ki jagah aam gandum ka atta istemal kar sakte hai
Kya karelon ko poori tarah cheelna zaroori hai
ji haan is recipe kayliye karelon ko cheelna bahot zaroori hai kyunke chilkon aur tomatar ke saath pakaya jaata hai taake ye mazedaar layyer ban jaye aur khali kiye hue karelon ki body me tayyar kia hua masala bharra jaye
Conclusion Masala Bharre Karele
Ye masala bharre karele rawaiti khana pakane ka aik behtreen namuna hai jo masalon ka aik rich zaiqa aur imli ka khatta meetha touch de kar is recipe ko poori tarha badal deta hai chahe koi family dinner ho ya lunch ye recipe aap ko mayoos nahi kare gi
Umeed hai aap ko ye Masala Bharre Karele Recipe pasand aayi hogi. agar aap ne is recipe ko try kia ho to comments me zaroor share karain




1 Comment
Mazedaar Chicken Pakora Recipe Banane Ka Tarika (5 Easy Steps) · September 21, 2026 at 6:03 am
[…] Ye Chicken Pakora Recipe meri bachpan ki recipe hai jo me ne shauq me banai ye aik bahot simple recipe thi aur jab me ne ye pehli martaba banai to ye bahot maze ki banni. aur phir ye ghar me sab ko bahot pasand ayi thi Halanke mein ne is me bahot kam masale daale thay lakin is ka zaiqa bahot maze ka tha jo sab ko bahot pasand aya ramzan me isse special banati sab bahot shauq se khaate hain aur jab koi mehmaan aye to khaas un kayliye banati hoon ye chote bachon kayliye bhi bahot behtreen hai kyunke is me light masale hote hain jis ki wajah se bache asaani se kha sakte hain […]