Best Aloo Chicken Recipe 5 Simple Step-by-Step Guide

Published by shazia shah muhammad on

Aloo Chicken Recipe aik bahot mazedaar recipe hai ye har moqa per banai ja sakti agar shorbe wala salan khana ho to hamesha Aloo Chicken Recipe ka name aata hai har khushi ghami me bhi Aloo Chicken Recipe ka name aata hai ye aik aisi dish hai jitne marzi afraad hon poori ho jaati hai Aloo Chicken hamaare ghar bahot ziada khaya jaata hai mere ghar me mere haath ka banna hua aloo chicken bahot shauq se khaya jaata hai mere bhanje mera banaya hua aloo chicken bahot shauq se khate hai aur hamesh mujhay farmaish karte hai ke khala hi aloo chicken banae

Description Aloo Chicken Recipe

Aloo Chicken Recipe aik khana hi nahi balke ye hamaari bachpan ki yadon ko taaza karta hai ye aik aisi mazi ki dish hai jab khain to ungliaan chaatte hi reh jaate hain agar aap ko kisi shorbe wale salan ki tilash hai to hum mil kar sab ki pasaddeeda recipe banate hain aur is recipe ko enjoy karte hain

🛒 Ingredients (Ajza)

  • 🍗 Chicken: 500g (dhula aur saaf kiya hua)
  • 🥔 Potatoes: 2-3 darmiyani size ke (chilke utaar kar adhe ya chaar tukron mein kate hue)
  • 🧅 Onions: 2 darmiyani (bareek lambi kati hui)
  • 🍅 Tomatoes: 2 darmiyani (blend ki hui ya bareek kati hui)
  • 🧄 Ginger-Garlic Paste: 1 chamach
  • 🥛 Yogurt: 3-4 chamach (phenta hua)
  • 🍳 Cooking Oil ya Ghee: Aadha cup
  • 🌶️ Red Chili Powder: 1 chamach (ya hasb-e-zaiqa)
  • 🟡 Turmeric Powder: Aadha chamach
  • 🌿 Coriander Powder: 1 chamach
  • 🧂 Salt: 1 chamach (ya hasb-e-zaiqa)
  • 💧 Warm Water: Shorbe ke liye jitni zaroorat ho
  • ✨ Garam Masala Powder: Aadha chamach
  • 🌱 Fresh Coriander & Green Chillies: Garnish karne ke liye
Best Aloo Chicken Recipe – Instructions

Best Aloo Chicken Recipe – Step-by-Step Instructions

1. Aik pateeli me oil garam karain aur 4 darmiyani katti hui pyaz daal kar halka bhoon lain aur phir aik cup paani daal kar paka lain is ke baad chicken daal dain tamater namak mirch haldi aur aik chamach adrak lehsan hari mirch 4 se 5 daal kar bhoon lain.

Aloo Chicken Step 1

2. Jab chicken bhun jaye to 2 cup paani daal kar chicken ko gala lain jab chicken gal jaye to us me mote mote Aloo katte hue daal dain aur achi tarha bhoon lain.

Aloo Chicken Step 2

3. Jab aloo aur chicken ko bhoon lain to phir dobaara chaar cup paani daal dain.

Aloo Chicken Step 3

4. Jab paani aadha reh jaye aur aloo gal jain to chulha band kar dai aur akhir me garam masala aur harra dhania daal kar serve karain.

Aloo Chicken Step 4

Pro Tips Best Aloo Chicken Recipe

Bhunai Ka Khas Khayal:

Chicken aur masalon ko achi tarha bhoon lain jab tak oil alag na ho jaye. Isi se salan ka asal zaiqa nikalta hai.

2. Aloo Ke Liye Tip:

Aloo ko mota kaatna behter hota hai taake woh gravy mein achi tarah ghul na jayein balkay sabut aur soft rahein.

3. Garam Water Ka Istemaal:

Gravy mein hamesha garam pani ka istemaal karein, thanda pani dalne se cooking ahista ho jaati hai aur chicken sakht ho sakta hai.

4. Fried Onions Ki Trick:

Aadhi brown onions shuru mein fry karke nikal lein aur akhir mein unhein crush karke dalne se khushboodaar gravy milti hai.

Frequently Asked Questions (FAQs) Best Aloo Chicken Recipe

  • 1. Kya main Aloo Chicken recipe kayliye frozen chicken istemal kar sakti hoon

Haan aap frozen chicken istemal kar sakti hain lakin ye zaroori hai ke pakane se pehle chicken mukammal taur par pighla hua hu ho aur paani achi tarha nikal chukka ho is se zaiqa bahot acha aata hai

2. Aloo ko kis tarha ke tukron me kaatain

  • Aloo ko bare tukron me kaat lain aur phir chicken me daal kar bhoon lain is tarha ye salan me ghulne ki bajaye naram rehte hain
  • 3. Kia hum Aloo Chicken pressure cooker me bana sakte hain
    • Ji haan agar aap ke paas waqt kam hai to aap pressure cooker me Aloo Chicken bana sati hain
  • 4. Aloo Chicken gravy ke saath kia khana chahiye
  • ye dish garam garam tandoori roti aur naan ke saath ya phir uble hue chawal ke saath mazza deti hai

Health Benefits of Aloo ChickenRecipe (Nutrition Info)

Aloo Chicken Recipe zaiqe mein hi lajawab nahi balkay yeh sehat ke liye bhi faidamand hai. Is dish mein istemaal hone wale chicken protein ka aik behtareen zariya hai, aloo carbohydrates, potassium, l vitamins (jaise Vitamin C aur B6) mohayya karte hain jo aapko energy dete hain. Iske ilawa, ismein istemal hone wale masalay jaise ginger, garlic, aur turmeric haazme ko behtar banane mein madad karte hain

Conclusion Aloo Chicken Recipe

Aloo Chicken Recipe ka shorba aik aam khana nahi bake ye behtreen zaiqon ka aik haqiqi zaiqa haiye naram chicken ke tukron ache pakke hue aram Aloo aur khushboodaar salan ke saath ye dish aap ko kbhi mayus nahi kare gi chahe aap kisi family dinner kayliye cooking kar rahe hon ya mahmaan aye hon is Aloo chicken Recipe ko garam garam tandoori roti ya uble hue chawal ke saath serve karne se ke dil jeet leta hai aap apne kitchen me asal zaiqe barqarar rakhain, aur apne pyaron ke sath aik yaadgar khane ka maza lain

Categories: Main course

shazia shah muhammad

Hi, I am Shazia. I share quick, authentic, and tasty recipes to make daily home cooking simple and enjoyable for everyone.

0 Comments

Leave a Reply

Avatar placeholder

Your email address will not be published. Required fields are marked *