Sab se pehle pyaz cheel kar grind kar lai grind kiye hue pyaz me namak lal mirch Dhania garam masala imli aur besan 4 tbsp aur oil 4 tbsp mix kar dain aur phir saare masale ko pan me daal kar paka lain Jab ye masala tayyar ho jaye to usse thanda kar lainIs ke baad karelon ko cheel lain aur phir chilka aur body alag kar lain is ke baad inhain namak laga kar 40 minute kayliye chor dain is ke baad chilke aur karele ko dho lain aur achi tarha nichor lain taake karwahat nikal jaye is ke baad karelon me masala bhar dain aur in karelon ko dhage se baandh dain taake masala bahir na nikle
Is ke baad aik karhai me hasbe zaroora oil lain aur karele daal kar fry kar lain
karele fry karne ke baad ussi oil me chilka daal kar fry kar lain phir tamator dal kar baqi bacha hua masala daal kar paka lain akhir me fry kiye hue karele daal kar mix kar dain 10 minute kayliye dhaanp kar rakh dain is se zaiqa barh jaata hai aur phir akhir me garam tandoori roti ke saath serve karain aur Masala Bharre Karele enjoy karain